Artist : Junoon
Album : Daur-e-Junoon
Releasing : 2003
~:: LYRICS ::~
Hai jazba junoon to himmat na haar
Justajoo jo karey woh chuay asmaan
Mehnat apni hogi pehchan kabhi na bhoolo
Sab ki nazron mein Pakistan kabhi na bhoolo
Pakistan hai tumhara - 2
Apna ghar apni sar zameen
Sab kuch hai bas yaheen
Itna to hai hum ko yakeen
Barhna hai aagey har kadam
Jab tak hai dam mey dam
Hogi kabhi himmat na kam
Hai jazba junoon to himmat na haar
Justajoo jo karey woh chuay asmaan
Mehnat apni hogi pehchan kabhi na bhoolo
Sab ki nazron mein, Pakistan kabhi na bhoolo
Pakistan hai tumhara
Pakistan hai humara
|
0 comments:
Post a Comment